Kahani aur kavita | Ep 1 | Pratik Takle | Hindi Kavita

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 8 фев 2025
  • Apni kahani kahetaa nahi
    Lekin unke kisse sun letaa huun
    Wo batate hai apani daastan
    Mein unhise seekh chuun letaa huun
    sunana-sunana alag alag baat hoti hai
    Kabhi kabhi inhii baato me subhse raat hoti hai
    Mein unki khidkiyonme nahi jaakhnta
    Seedeh darwaaje khol detaa huun
    Wo batate hai apani daastan
    Mein unhise seekh chuun letaa huun
    Kisse-kahani har kisiki dilchasp hoti hai
    Kabhi wo bas ek pal hota hai
    Kabhi ehesaas ke moti hai
    Unke dil ke jzabaat ko samaz ke
    Pal-do-pal ka unhe sukoon detaa huun
    Wo batate hai apani daastan
    Mein unhise seekh chuun letaa huun
    Sab kuchh sunake baad sahi-galat
    na batana ek hunar hota hai
    Wo unki zindagani unki kahani hai
    Har kisi ka alag safar hota hai
    Rone rulaane ke baad gale lagakar
    Unhe apnepan ki dhuun deta hoon
    Wo batate hai apani daastan
    Mein unhise seekh chuun letaa huun
    ~ Pratik
    [kahani, kavita, aho takle, hindi, poetry, emotions, life, people]
    Follow on
    / aho.takle
    / tmlm.official

Комментарии •