Saher ka waqt tha Masoom kaliyan Muskurati thi || Ghulaman e Peer Baghdadi Tanzeem ||
HTML-код
- Опубликовано: 22 дек 2024
- Seher Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thinawayein Khair Maqdam Ke Taraane Gungunati Thin
Abhi Jibreel Bhi Utre Na The Kaabe Ke Mimbar Se
Ke Itne Me Sada Aayi Ye Abdullah Ke Ghar Se
Mubarak Ho Shahe Har Do Sara Tashreef Le Aaye
Mubarak Ho Muhammad Mustafa Tashreef Le Aaye.
Maula Ya Salli Wasallim Daaiman Abadan
Alaa Habeebika Khairil Khalqi Kullihimi.
Gira...
Na Koi Aap Jaisa Tha Na Koi Aap Jaisa Hai
Koi Yousuf Se Pooche Mustafa Ka Husn Kaisa Hai
Zameen O Aasman Me Koi Bhi Misaal Na Mili.
Sada Ham Fatiha Ka Khaate Hain Sab Ko Khilaate Hain
Hamare Bhi To Dastar Par Madine Ka Niwaala Hai.
Durood Unpar Salaam Unpar Yehi Kehna Khuda Ka Hai
Khuda Ke Baad Jo Hai Martaba Salle Alaa Ka Hai
Wohi Gham Khware Ummat Hain Wohi Sardare Aalam Hai
Wohi To Hashr Ke Maidaan Me Sab Ki Shafa'at Hai
Shafa'at Ke Liye Sabki Nazar Unpar Padi Hogi.
Wo Muhammad Faqre Aalam Badshaahe Inso Jaan
Sarware Kaunain Sultane Arab Shaahe Ajam
Ek Din Jibreel Se Kehne Lage Shaahe Umam
Tumne Dekha Hai Jahan Batlaao To Kaise Hain Ham
Arz Ki Jibreel Ne Aye Shaahe Deen Aye Mohtaram
Aapka Koi Mumaasil Hi Nahi Rab Ki Qasam.
Salaam Uspar Ke Jisne Bekason Ki Dastageeri Ki
Salaam Uspar Ke Jisne Badshaahi Me Faqeeri Ki
Salaam Uspar Ke Jiske Ghar Na Chandi Thi Na Sona Tha
Salaam Uspar Ke Toota Boriya Jiska Bichona Tha
Salaam Aye Aamina Ke Laal Aye Mehboobe Subhani
Salaam Aye Faqre Maujudaat Faqre Lauhe Insaani
Teri Surat Teri Seerat Tera Naqsha Tera Jalwa
Tabassum Guftagu Bandanawazi Khanda Peshani
Tera Dar Ho Mera Sar Ho Mera Dil Ho Tera Dar Ho
Tamanna Muqtasar Si Hai Magar Tamheed Tu Laani.
Mere Maula Sada Tahaiyyat O Durood Ke Gajre
Apne Mehboob Par Jo Hai Teri Makhlooq Behtareen
Ussi Mehboob Se Wabasta Umeede Shafa'at Hai
Ke Har Himmat Shikan Mushkil Me Jisne Dastageeri Ki.
Jahan Bhi Ho Wahin Se Do Sada Sarkar Sunte Hain
Sare Aayina Sunte Hain Pase Deewar Sunte Hain.
Meri Har Saans Unke Aahaton Ke Saath Chalti Hai
Mere Dil Ke Dhadakne Ki Bhi Wo Raftaar Sunte Hain.
Mai Sadqe Jaaun Unki Rahmatullill Aalamini Ke
Pukaaro Chahe Jitni Baar Wo Har Baar Sunte Hain.
Muzaffar Jab Kisi Mehfil Me Unki Naat Padhta Hoon
Mera Imaan Hai Wo Bhi Mere Ash'aar Sunte Hain.
Choon Baazu E Shafa'atra
Khushayi Bar Gunahgaara
Makun Mehroome Jaami Raa
Dara'aan Ya Rasoolallah.
Baroze Hashr Mere Iss Yaqeen Ki Laaj Rakhlena
Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara Ya Rasoolallah.
Li Khamsatun Utfi Biha Harral Waba'il Hatimah
Al Mustafa Wal Murtaza Wabnahuma Wal Fatimah.
Wo Paanch Hain Jinse Karun Mai Har Waba Ka Khatimah
Al Mustafa Al Murtaza Hasnain O Bibi Fatimah.
Mai Gada Tu Badshah Bharde Piyaala Noor Ka
Noor Din Doona Tera De Daal Sadqa Noor Ka.
Chand Jhukjaata Jidhar Ungli Uthaate Mahad Me
Kya Hi Chalta Tha Isharon Par Khilona Noor Ka.
Khelte The Chand Se Bachpan Me Aaqa Isliye
Ye Sarapa Noor Hain Aur Wo Khilona Noor Ka.
Noor O Binte Noor O Zauje Noor O Umme Noor O Noor
Noore Mutlaq Ki Kaneez Allah Re Lahna Noor Ka.
Teri Nasle Paak Me Hai Baccha Baccha Noor Ka
Tu Hai Ayine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka.
Muhammad Mustafa Ke Baagh Ke Sab Phool Aise Hai
Jo Bin Paani Ke Tar Rehte Hain Murjhaaya Nahi Jaaya Nahi Karte.
----------------
Muhammadun Sayyidul Kaunaini Was Saqalai
Ni Wal Fari Qaini Min Urbiyun Wa Min Ajami.
-----
Call or WhatsApp for further details: +91 8639858149
Instagram : www.instagram....
#groupnaat #naat #allahu
#duffbajanekatariqa
#duffclass
#duff
#darbuka
#wambooka
#duffsikhne
Mashallah mashallah very good 👍
AS salam eley Kum.. mashallaha mashallaha.. subhanallaha subhanallaha.. DUVA May yaid rakhay.. ALLAHA HAFIZ..
Walaikumasslaam warehmatullah wabarkatuh Allah Paak fazal ke saath rakhe ap sabko ameen summa ameen