Haye Kaisa Sitam Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dam, Ghunchay E Mazloomia, Yaum E Sajjad, Lucknow

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 20 сен 2024
  • Anjuman Ghunchay E Mazloomia Faizabad, 25 Moharram Yaum E Sajjad, Sajjad Bagh, Lucknow.
    Haye Kaisa Sitam Haye Kaisa Sitam,
    Bhai Ke Samne Toda Bahena Ne Dum,
    Haye Kaisa Sitam Haye Kaisa Sitam..............
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum,
    Haye Kaisa Sitam Haye Kaisa Sitam.............
    Ek Nannih Si Bachchi Pareshan Thi,
    Apne Baba Ke Sine Ki Jo Jaan Thi,
    Haye Karbal Ki Woh Bhi Toh Mehmaan Thi,
    Qaid Khane Sitam Se Jo Anjaan Thi,
    Kamsini Me Uthaye Hai Kitne Ye Gham,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum.......
    Haye Kaisa Sitam......................
    Uske Baba Ka Sar Haye Kata Gya,
    Uska Ammu Bhi Dariya Pa Mara Gya,
    Uske Kunbe Ko Karbal Me Luta Gya,
    Pusht Par U'th Ki Usko Badha Gya,
    Risma Se Sakina Ka Ghutta Hai Dum,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum..........
    Haye Kaisa Sitam.............................
    Bade Sarwar Tamacha Lagaya Gya,
    Loote Asbaab Khaima Jalaya Gya,
    Aale Ahmad Ko Qaidi Banaya Gya,
    Dar-badar Haye Unko Phiraya Gya,
    Ek Nannih Si Jaa'n Aur Itne Sitam,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum........
    Haye Kaisa Sitam................................
    Nannih Bachchi Hai Zalim Ka Darbaar Hai,
    Har Taraf Se Masayeb Ki Yalgaar Hai,
    Pusht Zakhmi Yatima Hai Lachar Hai,
    Ek Bhai Hai Qaidi Wo Bimaar Hai,
    Ek Taza Jafa Hoti Hai Har Kadam,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum.........
    Haye Kaisa Sitam........................
    Sham Ka Qaid Khana Woh Nannih Si Jaa'n,
    Pusht Zakhmi Shikasta Hui Pasliya'n,
    Dard Se Kaap Jati Thi Wo Neem Jaa'n,
    Maa Se Kaheti Thi Le Le Ke Wo Hichkiya'n,
    Amma Is Qaid Me Jee Na Payenge Ham,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum......
    Haye Kaisa Sitam.........................
    Qaid Khane Me Barpa Qayamat Hui,
    Binte Shabbir Ghurbat Me Ruksat Hui,
    Aale Ahmad Pe Taza Musibat Hui,
    Dafn Kaise Sakina Ki Maiyat Hui,
    Peet Kar Sar Ko Rote The Ahle Haram,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum.......
    Haye Kaisa Sitam..........................
    Har Taraf Se Saher Ek Kohraam Hai,
    Qaid Khane Ka Larza Daro Baam Hai,
    Ye Madina Nahi Markaz E Sham Hai,
    Lab Pe Abid Ke Jumla Ye Har Gaam Hai,
    Haye Jakde Hai Kis Tarah Dafnaye Ham,
    Qaid Khane Me Toda Sakina Ne Dum.......
    Haye Kaisa Sitam..........

Комментарии • 37