बच्चे के जन्म के बाद डिप्रेशन होने का कारण और इलाज || Postpartum depression

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 4 окт 2024
  • बच्चे के जन्म के बाद डिप्रेशन होने का कारण और इलाज || Postpartum depression #drpraveentripathi
    Instagram: / drpraveentripathipsy
    Delivery ke baad hone waali mansik samasya ke baare mein kayi sawal zaroori hain, jaise ki-
    1. Delivery ke baad kya maa ko mansik samasya ho sakti hai?
    2. Post partum depression kya hota hai?
    3. Bachche ke paida hone ke baad maan ko depression ke lakshan kyu hote hai?
    4. Bachche ki delivery ke baad maan mein udaasi ke lakshan?
    5. Child birth ke baad maa ko depression
    6. Baby blues kya hota hai?
    7. Postpartum blues kya hota hai?
    8. Postpartum depression ke lakshan kya hain?
    9. Postpartum depression ke symptoms kya hote hain?
    10.Postpartum depression ka ilaaj kya hota hai?
    11. Postpartum psychosis kya hota hai?
    12. Postpartum psychosis ka ilaaj kya hai?
    13. Kya bachche ko doodh pilate hue maan depression ki dawa le sakti hai?
    Agar aap khud se depression ko theek karne ke techniques seekhna chahte hain, to aap humare course 'depression se bahar kaise niklein' ko join kar sakte hain. Iss course mein Dr. Praveen Tripathi ne cognitive behavioural therapy (CBT) ki techniques ko use karna sikhaya hai. Inhi techniques ka istemaal depression ke patients ki counselling mein kiya jaata hai. Course ko join karne ke liye, neeche diye link ko click karein
    www.drpraveent...
    For appointments at Renowa Care, pls call 9013821178, 9999808648
    Website- www.renowacare...
    Email- tripathipraveen1986@gmail.com
    Facebook page: / drpraveentripathipsy
    Instagram: / drpraveentripathipsy
    Twitter: / drpraveenpsy
    #depression #postpartum
    Almost 80% mahilaon mein bachche ke janam ke baad udaasi ke lakshan milte hain aur lagbagh 10 - 15% mein ye lakshan jyada gambhir bhi ho sakte hain. Maan ko hone wale depression ka bachche aur maa dono par kharab asar padta hai. Iss video mein Dr. Praveen Tripathi iss topic ke baare mein detail mein baat kar rahe hain.

Комментарии • 145

  • @shritichakravarti201
    @shritichakravarti201 Год назад +15

    12 din huye hai sir main ek baby girl delivery ki hu aur muze apne family se bilkul bhi support nahi mil rahi hai kyoki maine ek girl ko janm diya hai isliye. I'm so depressed. Muze baar baar rona aata hai, aur main thik se repair bhi nahi hui isliye aur bura lagta hai.

  • @PriyankaKumari-fd2sd
    @PriyankaKumari-fd2sd 2 года назад +10

    Mera aaj seventh day h aur m v aaj. Bahut rona aa rha h smjh nhi aa rha kya kru 😌 mujhe aisa lgta h sbkuchh family p depend krta h kse behaviour hota h ghrbale ka 😭

    • @chsndray6895
      @chsndray6895 Год назад +1

      Husband wife ko jyada se jyada time de aur care kare to sab depression dur ho skta hai,mujhe Aisa lgta hai

  • @pooja9726
    @pooja9726 3 месяца назад +6

    ❤❤❤roj hanuman chalisa suno ya padho,, such me adbhut hai, muze is se bahar aane me madat kar raha hai ,,, toda pranayam karo ,,bhramri, anulom vilom , om or kapal bhati,, daily 15 min karo din me 3 bar ,,, such me bahot asar karata hai,,

  • @pooja9726
    @pooja9726 5 месяцев назад +3

    Sir plss mera ek saval hai,,,,, pls sir aap reply jarur dena ,,me bahot jada pareshan hu,,, muze bhi ye ppd huwa tha,,tha maralab abhi bhi hai,, march 2023 ko meri c csection second delivery hui thi,,, meri treatment bhi chalu thi ppd ki,, bahot aacha result bhi aaya,,, or meri dr ab meri medicine kam karane lage hai,,, but ab sub kuch thik hone ke bavjud bhi muze 2 week pehale ek dam se yesa hone laga ,,panic attack or bahot anxiety,,is bar such me bahot tut chuki hu andar se ,,,, yesa kyu huwa dr,,, kya isaka period se koi lena dena hai kya,,, samaj nhi aa raha hai,,, ab to me bahot khush thi,,meri treatment complete ho rahi hai,,medicine bhi band ho jayegi,,, but sub kuch pa ke mene kho diya yesa laga,,,is time me bahot jada pareshan hu,,,lagata hai,me kabhi thik hai nhi hogi,,,pls sir aap batavo ye sa kyu huwa,,kya he bimari kabhi thik nhi hogi

  • @dishachaubey523
    @dishachaubey523 3 года назад +9

    I have suffered post partum in my second delivery. I have to take medical care for one year . As my symptoms persisted for more than 3months .

  • @advanceguitarlesson4288
    @advanceguitarlesson4288 2 года назад +3

    Thanks for information

  • @bhavnasharma5586
    @bhavnasharma5586 3 года назад +16

    My baby is 2 years old and I am suffering from these types of activities as you say sadness, anxiety, rona aata h.. what should I do.... Ab to mood swings b bht h or gussa itna aane lga h k I feel me khud ko hi hurt kr lungi kisi din please help me 😢😢

  • @iqrachishti2448
    @iqrachishti2448 Год назад +7

    Sir mujhe kuch feel nhi ho pta h Rona ata h aisa lgta h m ekeli hoon kuch bhi pehle jesa nhi lgta h aisa lgta h dekhne ka nazariya hi badl gya khud m hi kho gyi hoon m sir isse kese baher a sakte hain

  • @akritiupadhyay2810
    @akritiupadhyay2810 2 года назад +2

    Thank you so much

  • @shubhammadke3435
    @shubhammadke3435 3 года назад +3

    sir please make a video on physical symptoms of depression & anxiety.

  • @pooja9726
    @pooja9726 5 месяцев назад +3

    sir meri delivery ho ke ab 1 sal or 2 mahine ho gaye hai,,,, meri ye second delivery thi,,2016 ko 1st delivery hui thi,ie march 2023 ko dusari,, isase me gajar gai hu, ppd se,,, md doctor ke pas treatment thi but unhone muze physician ke pas jane bola August 2023 se meri unke yaha treatment chalu hai,, bahot aacha results bhi mila me aakele rahane se bhi darati thi,,, meri kabhi meri sas se nhi banati but is problem ke wajase me bahot roti thi ,chup chap bethati thi ,tab unhe bhi bura lagata tha,, or sach ne wo kam nhi but baby ka aachese khayal rakhane lagi thi,,, mere sas sasur gav me rahate hai,or me mr ki job ki wajase shahar me,,, 2 mahine rahane ke bad sas gav jana chahati thi,,,but pata nhi kyu mene jake unhe gale lagaya or bahot rone lagi ki aap mat javo,,,tab se mera baby 9 month ka hone ke bad wo chale gaye,,but tab tak meri treatment chalu thi or kafi fark pada thaa,, bahot aachha,, me akele rahane lagi ,sab kam pehale jese karane lagi,, bade bete ka school, chote ko sambhala,ghar kam ,sab me aache se manage hone laga,,,, bad me mera aaccha response mila to dr ne medicine kam karane lagi dhire dhine 10 mg ki 5 mg bad me wo band yesa karake chalu tha ,,or jab medicine kam hui muze kuch nhi huwa,,,feeling much better,,but ek din suddenly sham ko muze yesa sad sad jesa lagane laga or bahot hone laga,,,,panic attack jesa,,me ghabrai,, 2 se3 din dekha but koi farak nhi ,,bad me dr ke pas jake roi to unhone kaha ki no worries tum ab exasize yoga karo,walk karo,dhup me betho,, sab automatically band hoga,,, is time muze laga mene sab kuch pa ke sab kho diya itane time se medicine kha rahi thi ,or kuch dino bad sub treatment complete ho jayegi is khushi me thi ,,but bad me yesa dubara huwa to me bahot pareshan hui,,,mano ke me thak gai thi is sub se,,, muse is life se nafarat hone lagi,,,pehale muze itani jaga anxiety hone ke bavjud bhi me thik hone ke kiye tadapti thi,,, but is time such me ,,me bhot jada thak gai,,mr bhi jada tension me aaye,,,but man ki bimari man se hi thik hogi,,,khud me badalav karana jaruri tha,,,,ab 1 week huwa hai,,, feeling much better

    • @teenasmakeover6077
      @teenasmakeover6077 3 месяца назад +1

      Kesi ho

    • @pooja9726
      @pooja9726 3 месяца назад

      @@teenasmakeover6077 dear abhi me such me thik hu,,,,

  • @souravgarg3404
    @souravgarg3404 3 года назад +8

    Hats off sir 🔥🔥🔥🔥

  • @Poornima.c91
    @Poornima.c91 6 месяцев назад

    Hats off to you sir ❤

  • @theprobeginner7474
    @theprobeginner7474 Год назад +1

    Thank you for video sir.

  • @aashishbhattarai01
    @aashishbhattarai01 3 года назад +2

    💟1st Comment from Nepal💟🇳🇳🇵🇵

  • @delishdelights8
    @delishdelights8 2 года назад +49

    Mai pregnancy k time bohat jada excited thi ki kab mera bacha is duniya mai aaye ga...jab bacha aya to mai dipression mai chali giyi..na mera diyan bache k taraf hai na kuch..kuch samej mai nhi araha ki kya karu 😭

  • @anuthakur5061
    @anuthakur5061 3 года назад +2

    Sir mujhe delivery se pahle bahut stress tha usse kya mere baby ko koi problem hogi kya

    • @shoivkhan3531
      @shoivkhan3531 Год назад

      Aap ka baby thik hai meri beti to bahot kamzor.hai

  • @bishmoibalika516
    @bishmoibalika516 3 года назад +4

    Very helpful video

  • @SanjayRathod-mn2rp
    @SanjayRathod-mn2rp Год назад

    Thanks 🙏 sir

  • @rr9062
    @rr9062 9 месяцев назад

    Thank u

  • @gayatripathariya3963
    @gayatripathariya3963 11 месяцев назад

    Yes,sir

  • @islampurinformation3731
    @islampurinformation3731 2 года назад

    Thanks sir

  • @sonakumari9780
    @sonakumari9780 3 месяца назад

    Mera v bacha hua h ek month hua phle se mai bht jyada Depration m rhne lgi hu phle jb chahu nind v aati thi aub soye huye kitne din ho jata h hmesa mn m ghbrahat horhi h kuchh v shi nhi lag rha h kya kru mai

  • @DharM.K.Production
    @DharM.K.Production 3 года назад +2

    Dr Saheb, Mere babyboy hua hai..near about 3-4 months. Problem ye hai ki usko penis me erection nahi hota hai ,,jaise ki normally hamne nahalaate waqt dekha hai ya kbhi kisi dusre waqt. Uska size bhi increase nhi ho raha hai. Sur, Kya koi problem hai ya bachcha normal hai.kynki bachcha down syndrome ka bhi hai. Heart me hole bhi hai etc. Kindly margdarshit karen.
    Aur baby's mother bhi dipressed rahti hai...

  • @sumiwadhwa6987
    @sumiwadhwa6987 2 года назад +1

    Mujhe b bht hita , 25 days huye dlvry k bt safucation hots ghbraat b esa kb tk hoga kuj b acva ni lgta

  • @ParmjeetKaur-s4c
    @ParmjeetKaur-s4c 16 дней назад

    Sir muje 2018 ko hoya tha main ab takk medicn kha rahi hu medicn shodna chahti hu plz batayo

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  15 дней назад

      Dear Sir/Maam,
      Koi bhi medicine bina kisi doctor ke salah se shuru ya band nhi karni chahiye, Doctor ke consultation ke bad hi next step lena chahiye. Aadhik jankari ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain. Dhanyawad
      Amit Kumar
      Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @mdnajimkhan7806
    @mdnajimkhan7806 3 года назад

    Sir ek video banao manoshik chap

  • @farhanakhtar5799
    @farhanakhtar5799 3 года назад +1

    Sir us disorder ke bare mai baat kare jisme insaan ko kuch na kuch dikhne lagta jai jaise mere dost ki daadi ek baar kashmir ghoom kar aai thi toh waha bahut police force thi wo waha se akar kisi ko bhi keh rahi thi yay atankwadi hai or unhe police dikh rahi thi

  • @nehasah203
    @nehasah203 3 года назад

    Namaste sar

  • @anuthakur5061
    @anuthakur5061 3 года назад +1

    Sir mujhe ocd ki dabai di thi pr maine nhi khai

  • @kapilgaur4888
    @kapilgaur4888 3 года назад

    Hello doctor... Why are you not seeing psychiatric patient these days.

  • @MANDEEPKAUR-uw5qy
    @MANDEEPKAUR-uw5qy 4 месяца назад

    Meri delivery ko only 22 days huye h bt smjh nhi aa rha ki mere sath kya ho rha h kya nhi. Kbhi kbhi bhut akelapan lgta hai kbhi kbhi mn krta h yha se khi door bhaag jau😢😢😢 na apne trf dhyan h na bache ki trf

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  4 месяца назад

      Dear Mandeepkaur ji,
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @ratnakarmaury3256
    @ratnakarmaury3256 Месяц назад

    Sir meri pahli bacchi hui thi 2 din me hi khatam ho gai
    Meri wife bahut stress dipression mechali gai hai mai samjha nahi pa raha hu din rat bacche k bare sochti rahti hai use bahut gussa rona bbat baat par chid jana wo bahut taklif me hai kuch bataiye please

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  29 дней назад

      Dear Ratnakarmaurya ji
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @sumantkanwar
    @sumantkanwar 3 года назад +1

    Sir dimak me drd kyo hota h

  • @anshushukla1077
    @anshushukla1077 2 года назад +2

    Sir ye postpartum depression elaj KerAne ke kitne dino baad thek hota hai hame 6 month ho gye hai hai Elaj krwate hue par kisi kisi din abhi bhi dekat go jate hai or nend ni ate hai

  • @motivation.Guru1138
    @motivation.Guru1138 3 месяца назад

    30 days k baad meri wife ko zayda nind aa rhi hai
    Or nind itni zayda ki bihosh ho jana 2 time aiss hua hai pls suggest kro

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  3 месяца назад

      Dear Sir
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @kamlachaurasiya4218
    @kamlachaurasiya4218 2 года назад +1

    Same problem for 3 month but kisiko kuch samjh nhi aata

  • @shahreyarcool311
    @shahreyarcool311 3 года назад

    I AM SUFFERING FROM OCD SINCE LAST MONTH.
    I CHECKED EACH THING REPEATEDLY. KIA OCD KA ILAAJ HAI

    • @deepikasisodiasolanki864
      @deepikasisodiasolanki864 9 месяцев назад

      Yes.. Treatment is available... I also a ocd patient.... But meditation changes me drastically.... But in medical science... A medicine name serotonin is available for OCD patient... But we should not start it without prescription...
      I won't prefer medicine because I am afraid that what will happen if I am being addicted to it.

  • @minakshisingh6974
    @minakshisingh6974 4 месяца назад

    Husband ki to pregnancy me bhi koi responsibility nhi thi ab to aur koi mtlb nhi mujhse bs baby se mtlb hai

  • @kiranrana5059
    @kiranrana5059 3 месяца назад

    Sir plz i have all ready in depression in pregnancy abhi meri dawai chal rahi hai usme ecitalopram-20 or trimine plus di hai is it safe during pregnancy?? Plzzz sir give me advice...plzzz

  • @mehnazaakhter8013
    @mehnazaakhter8013 Год назад +1

    Sir mein blood pressure ki medicine lay Rahi hoon pregnancy ka 2 din bad Lani padi aur mujhe isi ka depression hua hai ki mein kuun lay Rahi hoon .iski counseling kijiye sir.

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  Год назад

      Dear Mam,
      Iss samasaya se sambandhit jankari ke liye please 8375015790 par call ya whatsapp kijiye.
      Dhanyavad.
      Amit kumar,
      Assistant-Dr. Praveen Tripathi

  • @cutegirl-re2he
    @cutegirl-re2he 3 года назад +2

    Can you please help

  • @shahreyarcool311
    @shahreyarcool311 3 года назад

    HOW TO TREAT OCD

  • @namdevchaudhari1608
    @namdevchaudhari1608 Год назад

    Sir mere mises ko yah prablem ho gaya he

  • @rafiyashafi6301
    @rafiyashafi6301 7 месяцев назад

    Mujhe bhi Aisa Ho Gaya Hai

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  7 месяцев назад +1

      Dear Sir/Ma'am
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya wahtsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @Neh6854
    @Neh6854 3 года назад +2

    1 saal se mujhe ye problem ho rahi hain mujhe kuch acha nahi lagta mujhe 1 saal se bhukh ka ahsas v nahi hota lekin main kabhi kisi ko nuksaan nahi pahucha sakti

  • @abirghosal4296
    @abirghosal4296 3 года назад

    sir mujhe ibs hain or doctor suggest mukhe phycratist k pass jana hai mujhe medicine se bohot sensitivity hai main visit karo doctor

  • @maulanafirozali8237
    @maulanafirozali8237 2 года назад

    Sir aap se contact kase hosakta h

  • @monasinghrajput4552
    @monasinghrajput4552 5 месяцев назад

    Mere delivery ko 1.5 years ho gya h but still i m suffering with this....av v mujhe likhte waqt rona aa rha h main ro rhi hu.. lekin mein kisi se share ni kar sakti koi smjhta hi nai h
    Main kya karu kaise doctor ko dikhau kuch smjh ni aa rha h

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  5 месяцев назад

      Dear Ma'am
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya wahtsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @nitusingh3911
    @nitusingh3911 2 года назад +1

    Mujhe lg rha h ki mar jau lekin rhu n

  • @meenateli9259
    @meenateli9259 5 месяцев назад

    hii

  • @nitusingh3911
    @nitusingh3911 2 года назад

    Sir plz mera help kriye mai is bimari se preshan hu please🙏 sir

  • @mammababyparrot8054
    @mammababyparrot8054 8 месяцев назад

    Mujhe aaram nahi hai mentally b body se b😢😢

    • @nishasahu7160
      @nishasahu7160 8 месяцев назад

      😭😭😭😭

    • @gorkhaligirlassam938
      @gorkhaligirlassam938 8 месяцев назад

      Mujhe vi aj me 10 dy huwa he bhut ghabrahat hota he or man me dar lagta he me ache se thik vi nhi huwe hu avi

  • @maheshmore8012
    @maheshmore8012 2 месяца назад

    Sir mujhe ye hi problem hai to pls. Mi ky karu . Appka adr. And number

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  22 дня назад

      Dear Maheshmore ji,
      Dr. Praveen Sir ka clinic noida me hai aur aap renowa care me specialist doctor se video call par bhi salah le sakte hain, Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @somyacreationhub5052
    @somyacreationhub5052 Год назад

    Main bhi bahot jada Dipeession main hu 6 month ho gye kya karu

    • @DrPraveenTripathiPsy
      @DrPraveenTripathiPsy  Год назад

      Dear Somya ji,
      Iss samasya ke liye aapko Psychiatrist se milna chahiye , proper evaluation ke baad hi aapko next step guide kiya ja sakta hai Jyada jankari ya doctor se appointment book karne ke liye 9818083017, 9999808648 par call ya whatsapp kar sakte hain.
      Dhanyawad
      Amit Kumar Assistant, Dr. Praveen Tripathi
      Renowa care , Noida

  • @nishasahu7160
    @nishasahu7160 8 месяцев назад

    😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

  • @namdevchaudhari1608
    @namdevchaudhari1608 Год назад

    Apka namber milega kya

  • @priyapatekar2947
    @priyapatekar2947 3 года назад

    Thx sir🙏

  • @namdevchaudhari1608
    @namdevchaudhari1608 Год назад

    Hiii