Abbas ka Lasha mai nahi laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri | New Noha | ASH Bhanauli Sadat
HTML-код
- Опубликовано: 19 окт 2024
- Nohay 2021 | Abbas Ka Lasha Main Nahi Laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay | New Noha 2021
8 Moharram 1443/2021
Related to- Hazrat Abal Fazlil Abbas a.s
Recited by- Ali Mohammad Sultanpuri
Poetry & Composition - Waiz Hasan Sultanpuri
Location- Bara Imambargah, Bhanauli Sadat
Posted by- Azadari Bhanauli
Lyrics Abbas ka lasha mai nahi laya sakina
Sakina haye sakina ...
Bhai ki Judai ka liye dard jigar par
Dariya se jab aayen h shahe deen palat kar
Thi dar pa khadi sayyad e mazloom ki dukhtar
Aye ahle aza dard me duba tha wo manzar
Baba ki taraf dekh ke roti thi sakina
Dikhla ke alam padhte the shabbir ye noha
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
Laya hun tarai se alam khoon me duba
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
Baba se meri ladli naraz na hona
Abbas ka lasha mai nahi laya sakina
1.
Jab khali alam leke mai dariya se chala tha
Har ek qadam par mai yahi soch raha tha
Phat jaye na masoom sakina ka kaleja
Jab apni dulari se mai ye Jake kahunga
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
2.
Chalta hai kaleje pe mere dard ka khanjar
Mara gaya pyasa mera mazloom baradar
Malta hua hathon ko mai aaya hun palat kar
Ye dard mere dil se juda ho nhi sakta
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
3.
Mujhse tere ammun ne kaha tha meri pyari
Abbas ye aakhri khwahish thi dulari
Le jana na khaime ki taraf lash hamari
Puri huyi abbas e dilawar ki tamanna
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
4.
Chota na karo dil meri nadan sakina
Qismat ka likha hai ye meri jaan sakina
Tujh par ye tera baap ho qurban sakina
Ye baat meri ladli dil me nhi rakhna
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
5.
Abbas ke lashe ko tassuwur me bna lo
Ji bhar ke chacha jaan pe ashkon ko baha lo
Ammu alam laya hun seene se laga lo
Rah jaye na ye dil me qalaq aye meri dukhiya
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
6.
Dil par jo mere zakhm laga kaise bataun
Is waqt mera haal hai kya kaise btaun
Sadma Jo mujhe aaj hua kaise btaun
Ab dil mera har waqt isi gham se phatega
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
7.
Masoom sakina ko kaleje se laga kar
Roye hain bahut der talak sibte payambar
Kahte the ki ab sabr karo aye meri dukhtar
Maine wo kiya jo mere bhai ne kaha tha
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
8.
Waiz wo musibat ki badi sakht ghadi thi
Masoom sakina dare khaima pe khadi thi
Aur lash alamdar ki dariya pe padi thi
Shabbir ke is bain se kohram tha barpa
Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
Video Tags
Laya hun tarai se alam khoon me dooba abbas ka lasha mai nahi laya sakina, waiz hasan sultanpuri, ali mohammad sultanpuri new nauha 2021, ali mohammad 2021 nauha, ali mohammad noha, new nauha bhanauli sadat, Azadari Bhanauli, nohay 2021, bhanauli nohay, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat, moharram 1443/2021, azadari 2021, haider raza, zuhair qain, abutalib rizvi, nadeem sultanpuri
►Social Media:-
Subscribe : / azadaribhanauli
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram: / iamrizvi
Facebook: / bhanaulisadat
Labbiak ya husian 😭😭😭
حضرت عباس علیہ سلام سے بڑا کوئی وفادار نہیں اس کائنات میں
Masha Allah mere Bhai me ap par kurban jaun Masha Allah mola salamat rakhe ap sab azadaro ko
Mashaallah maula slamat rkhy apko 😭😭
Aaj 8 rabi UL awwal 2022 ko mai pahli baar bhanauli sadat aya hu aor aap logo ne ham jaise mehmano ka bahot khatir tawazo kiya.
Allah aap sab ko salamat rakhkhe.
Maula Hussain ke sadqe me 😭
Purdard kalam😥😭
Mashallah
Kya padha hai
Maula salamat rakhe
Assalam alaik ya maula Hussain alahis salam 😭😭😭😭😭😭 assalam alaik ya maula abul fazlil Abbas alamdar 😭😭😭😭😭😭😭😭😭
Masallah maula slamt rkhe
JAZAKALLAH maula salamat rakhe sabhi azadaron ko
Allah salamat rakhe azadar e Hussain as shohda e karbala as ko sehat ke sath elahi aameen
Labbaik ya mola Hussain as shohda e karbala as 😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭
Labbaik ya mola ABBA's gazi Alamdar as shohda e karbala as 😭🙏😭🙏😭😭🙏😭😭😭😭
Mashallah
Mashallah molua salamat rakhe 😭
Maula apne sadqe me salamat rakkhe sabko
Mashaallah mashaallah jio Bhai mola salamat rakhe aapko ..😭😭😭😭😭
Ghar ghar me tashkira hai shah e tashnakaam ka .
Gham manate hai aaj bhi Zahra aapke bekas
imam ka .
Hussain ibn e ali 😭😭😭😭😭😭😭
Salam ya maula abbas alamdar 🤲🏻🌹
Masha allah jazak allah maula salamat rakhen aap sab azadaron ko
Bhai mic ko slow tape se jo stand mic he uspe bandh den to awaz bahut clear aayegi padhne wali ki masha allah wireless mic hai wire ka bhi problem nh hai
Thanks for your kind suggestions.. Insha'allah
Mashallha
Jio matmi mashallah mola salamat rakhe
Maula Ham Sab Ko Salamat Rakhe
Mashallah 😢😢😢
😭😭😭😭😭❤️❤️
😭😥😥
Puras nohay
Elahi aameen sum aameen
Bhanauli ke har azadaar ko maula salamat rakhna.
सारे अज़ादार को मौला सलामत रखे
😂😂
Mashallah
Mashallah
Thank you🙏🙏🙏🙏